Salo gujar gaye rokar nahi dekha
Ankho mein nind thi, sokar nai dekha
Woh kya jane dard mohabbat ka,
Jisne kisi ko kabhi khokar nai dekha
Salo gujar gaye rokar nahi dekha
Ankho mein nind thi, sokar nai dekha
Woh kya jane dard mohabbat ka,
Jisne kisi ko kabhi khokar nai dekha
Dard seh kar bhi dil unhe pyar karta h,
Juda hokar bhi unhe hi yaad karta hai,
Diye hai ishq me itne dard-e-gum,
Fir b Unhi ki khusiyo ki fariyad karta h
Dard aankho me jhalak jata h par hotho tak nai aata,
Ye majburi h mere ishq ki jo milta h kho jata hain
Use bhulne ka jajba to har roz dil me aata hain
Par kaise bhula de dil, har jarre me jisko pata hain
Aah aur dard bas tera talabgaar hua
Aankh patther huyi, ashk aabshaar hua
Ye judayi bhi amavas ka ek sitara hain
Chand k bin ye falak bhi daagdaar hua
Meri palko ka jhapakna bada muskil h
Aisa tab se h, jab se tera didaar hua
So rahe h en makano ke bashinde sabhi
Main jaga reh k basti ka gunehgaar hua
Hume mohabbat mein judayi manjoor thi par bewafayi nahi
Par jab judayi huyi to jana judayi bewafai se jyada dard deti h
Zindagi se hume koi shikayat nahi,
Jee toh rahe h par khusi se nahi,
Har shakhs ne dukh b bahut diye,
Par hum kisi se naraj bhi nahi
Sari-Sari Raat Naa Soye Hum,
Raato Ko uth-uth Ke Khub Roye Hum,
Bas ik Baar Mera Kasoor Bata De,
Itna Pyar Kar k B Kyu Na Tere Huye hum